Khamosh hai alqama ki maujay
Fiza may bhi maut ka sama hai
Ridaye Zainab tera mohafiz
Ukharti saanso ke darmiyan hai
Hawaon ke rukh badal rahay hai
Qayam darya se hat rahay hai
Kisi ke teywar bata rahay hai
Ke toot padnay ko aasmaan hai
Sitam ki paykaan to kheynch lengay
Hussain chashm-e-jari se lekin
Khaalish ka ek teer aur bhi hai
Jo qalb-e-Abbas may nihaan hai
Lahoo lahoo paykar e tamanna
Qareeb mashkeezay sakina
Gira hai rahwaar se wo aise
Kahin pe baazu kahin nishaan hai
Ba chashm-e-purnam bawakht e rehlat
Ali ne jin baazuon ko chuma
Kahin wo baazu qalam huye hai
Kahin pe in may reesma hai
Sakina Bibi ki tashnagi ka
Jigar pe ab tak hai daagh baaqi
Wahin wahin mashk bhi milaygi
Alam Jari ka jahan jahan hai
Lagi hai qaimo may aag har su
Ridayen bewo ki chin rahi hai
Udaasiya poochti hai shahid*
Wo pasban-e-haram kahan hai