Kehti thi yeh maa khoon bhari mayyat seh lipatkar
Haye haye ali akbar Haye haye ali akbar
Armaan tha pehnaongi poshak shahani
Afsos keh raas aye na tujh ko yeh javani
Kesa tha mukaddar
Haye haye ali akbar Haye haye ali akbar
itna to zara thero umhen dulha to bana lun
phir ek jhalak sehre ki sughra ko dikha lun
bechain hai kahar
Haye haye ali akbar Haye haye ali akbar
Kehti thi yeh maa khoon bhari mayyat seh lipatkar
Maa teri judai main bhala kese jiyegi
Marjaye gi sugra jo khabar teri sunegi
Abh kiya karoon dilbar
Haye haye ali akbar Haye haye ali akbar
Atthara baras pal ke parvan chadhaya
Vo gehsuon wala he mere khoon me nahayah
Ab kya karun Jee kar
Haye haye ali akbar Haye haye ali akbar
Kehti thi yeh maa khoon bhari mayyat seh lipatkar
Karti thi ziyarat main payambar ki tujhi se
Ab ghar main kise dungi main tashbih nabi se
Hum shakle payambar
Haye haye ali akbar Haye haye ali akbar
Tum hichkiyaan le le ke jo dum todh rahi ho
Moon maa seh hamesha ke liyemor rahe ho
Kyu rote dilbar
Haye haye ali akbar Haye haye ali akbar
Kehti thi yeh maa khoon bhari mayyat seh lipatkar
Aye jo hamain lootne kheme main sitamgar
Maa degi sada haye ali akbar ali akbar
Chinn jayegi chadar
Haye haye ali akbar Haye haye ali akbar
Phele to ek awaz pe uth jate the beta
Ab itni sadaon pe bhi pehlu nahi badla
kya ho gaya dilbar
Haye haye ali akbar Haye haye ali akbar
Kehti thi yeh maa khoon bhari mayyat seh lipatkar
Jabh koi jawan laash nazar ati he mehshar
Ehk yaad sue karbobala jaati h mehshar
Dil rota he kehkar
Haye haye ali akbar Haye haye ali akbar
Kehti thi yeh maa khoon bhari mayyat seh lipatkar