Kartay hain matam haram Abbas ka

Noha

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka
Aata hain Zakhmi alam Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Hai lab-e-naher hua kya ghazab
Teer laga mashk-e-Sakina par jab
Aa gaya hoton par dam Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kahtey hain ro-ro ke yeh ahl -e-Haram
Jao Hasham Sabr-o-Raza aur karam
Kis taraf bhoolen ge hum Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Le ke Shanenshah-e-Wafa say hayaat
Choomne qadmon ko badhi khud furhaat
Dekhte jaao hasham Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Shah ke ghamkhaar par har ek pal
Shah ke azaadaar par har ek pal
Hota hai ab bhi karam Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Phir mere maula se na sambhla alam
Pani baha ho gaya thanda alam
Mashk me shayad tha dam Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Ab bhi hai basheer par maqtal ki yaad
Rahti hai baqi Shah-e-Karbal ki yaad
Phir bhi hai oocha Alam Abbas Ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Gham se Sakina to wahin ruk gaye
Shah-e-Madina ki kamar jhuk gaye
Jab hua baazoo qalam Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Ab kahan bujh payee gi dukhya ki pyaas
Toot gaye Bali Sakina ki aas
Ho gaya baazoo qalam Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Ashk ke lahoo ro diya charkh-e-gohan
Ro diyea be-sakhta Shah-e-Zaman
Dekh ke chalni alam Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kahtey hain ro-ro ke yeh ahl -e-Haram
Jao Hasham Sabr-o-Raza aur karam
Kis taraf bhoolen ge hum Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Naize pe us paara-e-Quran ke saath
Jaye hain ghamkhaar bhi aza ke saath
Padhta hai nauha Raqam* Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

Kartay hain Matam haram Abbas ka
Ho gaya marna sitam Abbas ka

One comment(s) on “Kartay hain matam haram Abbas ka”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *