karo uss imame shashum pAr buka
jo pandarhwiN maah’e Rajab ko utha
khilafat juN hi paai Mansoor ne
to chunn chunn ke Saadaat ka khooN kiya
darakhtoN pa latkaaey sAr saikRoN
hazaaroN ko deewaar meiN chunn diya
bulaaya kai baar inheiN bhi magar
tha ejaaz, zaalim na kuch kar saka
hua qatl’e saadaat se jab faraagh
to aamaada phir qatl’e shAh par hua
bine Zaid ko deike kuch maal o zar
makaaN pahle naari se jalwa diya
Madeene ke haakim ko phir bheija hukm
na zinda raheiN Saadiqe ba safa
Mohammed SulemaN ke farzand ne
unheiN zahr angoor meiN de diya
likho fikr manqoot meiN saal’e faut
huEy Jaffer Ibne Mohammed juda