Karbala mein jis ghadi mara gaya Ibne Ali

Noha

Karbala mein jis ghadi mara gaya Ibne Ali
Tab farishton ne khabar Gibraeel ko jaa kar yeh di

Aashiane mein tu kya baitha hai apne ai gari
Ai muqqarib Kibriya ke, ai Mohammad ke raqeeb

Le khabar dasht e bala mein Fatima ka ghar gaya
Jisko tu jhoola jhulata tha who bekas mar gaya

Jiski khatir par bhichata tha tu ai rooh gul nami
Aur khilata tha jise tu mewa e khulde bareen

Aah who mara pada hai aaj ba ru e zameen
Laash us bekas ki gaade koi itna bhi nahin

Jis Hussain Ibne Ali ka do jahan mein raaj hai
Aaj who bekas kafan aur gohr ka mohtaj hai

Karbala mein jis ghadi mara gaya Ibne Ali

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *