Karbala Mein Hai Sada Hum Pyase Hain

Noha

Ai zameen e Karbala, Hum pyase Hain
Karbala meiN hai sada, Hum pyase Hain

Hashr tha har khaime Sheh meiN bapa
Jab Sakeena ne kaha, Hum pyase Hain
Karbala meiN hai sada, Hum pyase Hain

Saaquiy e Kausar hamara hai laqab
Hain ham hi Aal e Iba, Hum pyase Hain
Karbala meiN hai sada, Hum pyase Hain

Shah se Akbar jab yeh bole al -atash
Deen e Ahmad ne kaha, Hum pyase Hain
Karbala meiN hai sada, Hum pyase Hain

Tashna lab Ansaar tak ne uff na ki
Sirf bachchoN ne kaha, Hum pyase Hain
Karbala meiN hai sada, Hum pyase Hain

Zainab e Muztar ne khud lab see liye
Bas nakhaat ne kaha, Hum pyase Hain
Karbala meiN hai sada, Hum pyase Hain

Hurmula ne khud Nazuk halq par
Keh utha sookha gala, Hum pyase Hain
Karbala meiN hai sada, Hum pyase Hain

Ho Ali ke laal, paani ki sabeel
Kul ke ai Mushkil -kusha, Hum pyase Hain
Karbala meiN hai sada, Hum pyase Ha in

Jaanwar tak naher se seraab hooN
Ho Sakeena ki sada, Hum pyase Hain
Karbala meiN hai sada, Hum pyase Hain

Thi jale khaimoN mein, yeh Nasir* sada
Aaiyea Mushkil -kusha , Hum pyase Hain
Karbala meiN hai sada, Hum pyase Hain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *