Karbala Lout Chuki Hamse Bhara Ghar Sughra
Ab Na Qasim Hai Na Abbas Na Akbar Sughra
Nama Bar Leke Tere Namaa Jo Pohcha Beti
Sheh Ne Ankho Se Lagakar Usse Chuma Beti
Rooke Farmane Lage Mar Gaya Akbar Sughra
Shane Abbas Katakar Lab E Dariya Soya
Pyaas Ko Zist Banakar Lab E Dariya Soya
Waqt Ne Cheen Liya Hamse Bhara Ghar Sughra
Roz-e-Ashur Qayamat Ka Ajab Manzar Tha
Noke Neza Paa Chhada Bhai Ka Mere Sir Tha
Us Ghadi Mar Na Gayi Zainab E Muztar Sughra
Touqo Zanjeer Mai Jakda Hua Beemar Chala
Banke Shabbir Ke Lashkar Ka Alam Dar Chala
Zulm Har Sehta Raha Shah Ke Dilbar Sughra
Kufao Sham Ke Bazar Mai Tashheer Kiya
Hakime Waqt Ne Darbar Mai Tashheer Kiya
Rubaru Hoti Thi Hakim Ke Khule Sir Sughra
Thak Ke Ruk Jate The Jo Raah Mai Sajjad (As) Kahi
Taziyano Se Khabar Lete The Jallad Wahin
Dil Ko Dehlate Hain Aksar Yehi Manzar Sughra
Bhai Ki Lash Ko Begoro Kafan Dekha Hai
Garm Reti Pa Sulagta Hua Tan Dekha Hai
Kitni Majbur Thi Shabbir Ki Khuwahar Sughra
Qabre Asgher Pa Gaye Khat Ko Sunane Ke Liye
Tumko Likhti Hai Behen Jhula Jhulane Ke Liye
Na Mila Sheh Jo Jawabe Ali Asgher Sughra
Cheen Gayi Hashr Ke Hangame Ridae Zainab
Koi Sunta Na Tha Dilshad Sadein Zainab
Kitna Pur Khouf Tha Wo Dasht Ka Manzar Sughra