Karbala Janay Walon – Mir Hasan Mir

Mir Hasan Mir

Jaane walo dare abbas pe jab tum jana
Ye ariza mere mola ko suna kar aana

———————————-

Sabse phle unhe khna meri jaanib se salam
Fir ye khna k tadapta hai watan vo Ghulam
Kuch nhi lana farat izne ziyarat lana

———————————-

khna hashim k qamar se kare or ye karam
dekhne hai mujhe rozon k badlte parcham
iss baras mahe aza mujhe wahi dikhlna

———————————-

khna hazrat se wasail ko kushada kar den
mera iss saal rizq ziyada kar den
betion beton ko hamrah mujhe hai lana

———————————-

Karbala paison se jaate nhi mujhko hai khabar
Tum bulate ho to mil jata hai khud zaade safar
Likha ho aana to lagta ek bhe aana

———————————-

Chote hazrat se khna k hai aashoor qareeb
Ye bhe khna k kya iss saal bhe taqpe ghareeb
Khoon ka dena hai mujhe aakar waha nazrana

———————————-

Unse khna nhi mangoonga mai aasaisho chain
Nind jab aayegi so jaaounga bainul haramain
Kash ko takiya bana kar hai mujhe so jana

———————————-

Arbeeen ki jo banane lage fehrist aaqa
Naam mera bhe Sakina k tasaduq likhna
Mujhko bhe Karbala paidal hai Najaf se jana

———————————-

Mai Sham gaya phle to boulounga yhi
Aapke ammu ne bheja hai Sakina pani
Tum Abal Fazal Ke sartab ka pani lana

———————————-

Kaise zinda rhe bin aapke ke Asghar ki bahan
Mar gaye par na khuli bachi ki ghardan se rasan
Pursa masoom Sakina ka hai dena aana

———————————-

Meer sajjad ko nohe ka sila ye dena
Iss baras karbala aayega jab vo mola
Aap Nazraane badle mai nazar aa jana

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *