KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Noha

KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba
Har simt sitamgar hain, laut aaiyea Baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Mashkiza mera naher se mangwaea Baba
Be-haal Sakina pe taras khaiyea Baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Jo bhi gaya maidaan, woh zinda nahi palta
Ab dasht mein Asghar ko na le jaiyea Baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Dariya ki taraf jaye toh talwar na le jaye
Lillah chacha jaan ko samjhaeye Baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Juz aap ke aye Baba mera koi nahi hai,
Aa-jaeye Baba mere Aa-jaeye baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Pyaasi hoon magar paani ka shikwa na karoon gi
Ammu ko mere naher se le aaiyea Baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Sughra ne likha ranjo-alam tab ki hai shiddat,
Khud aaeye yaa phir mujhe bulwaeye baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Kuch der me marr jaegi bin pani Sakeena,
Ammu ko mere jaake yeh farmaeye baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Jo mujh par guzarti hai, kise par nahin guzre
Ab aa ke, na jaane ki qasam khaiyea Baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Allah mohafiz hai mere Bhai ka rann mein
Karti hoon dua, Aap na ghabraiyea Baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Badh badh ke jo dhaate hain sitam hum-par sitamgar
Hum Aal -e-Mohammad hain, yeh batlayean Baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

woh pyaas hai bola bhi nahin jaata hai Mujhse
Mil jaye jo paani kahin, bhar laayea Baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jaiye Baba

Nasir*, yehi khaimon se sada aati thi paiham
Aa jaayea Baba, aa jaayea Baba
KahtiN thiN Sakina ke na ab jai ye Baba

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *