KahtiN thiN ro kar Zainab e kubra

Noha

KahtiN thiN ro kar Zainab e kubra Eik dukhiyari meri Sakeena
Pani ko tarsi, Wa waila, Eik dukhiyari meri Sakeena
KahtiN thiN ro kar Zanab e kubra, Eik dukhiyari meri Sakeena

Chote chote baloN wali, haye meri naazoN ki paali
Kaise chupaye apna chhera, Eik dukhiyari meri Sakeena
KahtiN thiN ro kar Zanab e kubra, Eik dukhiyari meri Sakeena

Shimr e laen ne kaanoN se gauhar, chhen liyea khaimon ko jala kar
Kahti rahi ro ro ke Baba, Eik dukhiyari meri Sakeena
KahtiN thiN ro kar Zanab e kubra, Eik dukhiyari meri Sakeena

Khaime meiN kohram hai barpa, Aag lagane aaye haiN aada
Poochti hai Nana ka rauza, Eik dukhiyari meri Sakeena
KahtiN thiN ro kar Zanab e kubra, Eik dukhiyari meri Sakeena

Shaam e GareebaN ka sannata, Hoo ka aalam sahera sahera
Dhoond rahi hai Baap ka laasha, Eik dukhiyari meri Sakeena
KahtiN thiN ro kar Zanab e kubra, Eik dukhiyari meri Sakeena

Is khaime se us khaime mein, jati hai ghabrai hui si
Saath liye Asghar ka jhoola, Eik dukhiyari meri Sakeena
KahtiN thiN ro kar Zanab e kubra, Eik dukhiyari meri Sakeena

Bain yeh thay Zainab ke Ishrat*, ho gayi is duniya se rukhsat
Daag e alam ka de kar tohfa, Eik dukhiyari meri Sakeena
KahtiN thiN ro kar Zanab e kubra, Eik dukhiyari meri Sakeena

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *