Kaha Sughra ne ro ro kar, Ali Asghar ka pursa do

Noha

Khabar goonji hai qasid ki, Shah e Wala gaye maare
Kaleje meiN lagi hai aag ab, Sawrar ka pursa do
Kaha Sughra ne ro ro kar, Ali Asghar ka pursa do

Suna hai Karbala meiN qatla sara ho gaya kunba
Jise kahteN haiN Aashoora, usi din-bhar ka pursa do
Kaha Sughra ne ro ro kar, Ali Asghar ka pursa do

Ghazab hai Karbala meiN Fatima Zahera ki Dukhtar ki
Jo sar se chhin gaye chadar, usi chadar ka pursa do
Kaha Sughra ne ro ro kar, Ali Asghar ka pursa do

Madine wale ro ro kar yeh kahte thay eik eik se
Hame Beemar ke chhene gaye bistar ka pursa do
Kaha Sughra ne ro ro kar, Ali Asghar ka pursa do

Woh jis ko qaid kar ke Karbala se le chale dar dar
Sakina har gam e namoos e Paighambar ka pursa do
Kaha Sughra ne ro ro kar, Ali Asghar ka pursa do

Tilawat jisne ki Quran ki khud nok e naiza se
Usi Mazloom Mustar Saahib e Mimber ka pursa do
Kaha Sughra ne ro ro kar, Ali Asghar ka pursa do

Woh jiski laash ko paamal kar daala laeenoN ne
Hame Noor e Imaamat ke Tan e Sarwar ka pursa do
Kaha Sughra ne ro ro kar, Ali Asghar ka pursa do

Kate shaane bhale kaise Alambardar e Sarwar ke
Hamare Saaqi e Kausar ke us Dilbar ka pursa do
Kaha Sughra ne ro ro kar, Ali Asghar ka pursa do

Woh jiska khoon meiN dooba pada tha dasht meiN laasha
Usi Laqt e Dil e Zaherra ke us Dilbar ka pursa do
Kaha Sughra ne ro ro kar, Ali Asghar ka pursa do

Zameen o Aasmaan roote haiN jis ko har ghadi Nasir*
Hame us Shah Sawaar e Dosh e Paighambar ka pursa do
Kaha Sughra ne ro ro kar, Ali Asghar ka pursa do

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *