Jo hi khaimen mein laaye Shah e Wala

Noha

Jo hi kheme mai laaye Shaah e Wala lashaye Akbar
PukariN ghamzada Madar Ali Akbar Ali Akbar

Ye dil pa haath kyun rakkhe ho beta maa ko dikhlao
KahaN hai dard ziyada aye mere Dilbar yeh batlao
Lagi hai kya sina dil par Ali Akbar Ali Akbar
PukariN ghamzada Madar Ali Akbar Ali Akbar

Jo mai maidaan maiN hoti tumhe dil meiN chhipa leti
Tumhri pyaas aye beta maiN ashkoN se bujha deti
Ye maa sadqe gayi tum par Ali Akbar Ali Akbar
PukariN ghamzada Madar Ali Akbar Ali Akbar

Utho dekho zara zakhmoN se kya halat hai Sarwar ki
Sabhi maare gaye rann meiN nahi koi raha baqi
Akele reh gaye Sarwar Ali Akbar Ali Akbar
PukariN ghamzada Madar Ali Akbar Ali Akbar

Phuphi amma tumhari kar rahin hain bain ro ro kar
Pacharde kha rahiN haiN aur giri jaati haiN laashe par
Utho thamo unhe bardh kar Ali Akbar Ali Akbar
PukariN ghamzada Madar Ali Akbar Ali Akbar

Wo muh ko muh pa rakh ke siskiya le le ke rotiN hain
Kabhi sehlati hain sar ko kabhi qurban hoti hain
Gale lag jao ab uth kar Ali Akbar Ali Akbar
PukariN ghamzada Madar Ali Akbar Ali Akbar

Kahan takleef hai beta zara maa se to batlao
Efaqa dard mein ho jayega dam bhar jo so jao
Meri godi maiN sar rakh kar Ali Akbar Ali Akbar
PukariN ghamzada Madar Ali Akbar Ali Akbar

Meri aankho meiN aasuN tum kabhi na dekh sakte thay
Meri har baat ka beta tum itna dhiyan rakhte thay
JiyuNgi ab bhala kyun kar Ali Akbar Ali Akbar
PukariN ghamzada Madar Ali Akbar Ali Akbar

Haram ke saath lut kar ke Madeene jab main jaoungi
Jo puchegi tumhe Sughra to usko kya bataouNgi
Sidhare tum sue Kausar Ali Akbar Ali Akbar
PukariN ghamzada Madar Ali Akbar Ali Akbar

Tumhara biyah ke armaan saare reh gaye dil meiN
Kie pamaal mansube sabhi fouje muqabil ne
MaiN rouN na tumhe kyun kar Ali Akbar Ali Akbar
PukariN ghamzada Madar Ali Akbar Ali Akbar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *