Jo dekha saamne Abbas ko mouje tadap utthiN
Tha dariya muztarib mashke Sakeena meiN samane ko
Tadapte the udhar khemoN mai bachche pyas ke mare
Idhar betab tha Saqqa unhe pani pilane ko
Jo dekha saamne…
Yahi ro ro ke kehti thi Sakeena raat hoti hai
Chale aao bas ab rann se mujhe Baba sulane ko
Jo dekha saamne…
Kaha Zainab ne bachchon se shuja ‘at tum pa hai nazaN
Tumhe pala tha maine jang ke jhouhar dikhane ko
Jo dekha saamne…
Chale Qasim jo marne ran ko Kubra ne kaha ro kar
Mere armaN tumhare saath haiN khuN mai nahane ko
Jo dekha saamne…
Jawani Akbar e nashad ki badh badh ke ye boli
Chale hain shoq se ran ko sina seene pa khane ko
Jo dekha saamne…
Kaha Sarwar ne Akbar se ke phuphu se ijazat lo
Chale jana phir uske baad barchi dil pa khane ko
Jo dekha saamne…
Na palte ran se jo Akbar to mamta ma ki ye boli
Gaye the ghar se kya Beta kabhi wa pas na aane ko
Jo dekha saamne…
Bula lo mujhko bhi tum ho jahaN ae laal mai wari
Na jao chord ke mujhko yahaN aaNsu bahane ko
Jo dekha saamne…
Badi hasrat se Asghar se ye kehte the Shah e wala
Nahi haiN chand qatre aab ke tumko pilane ko
Jo dekha saamne…
Dar e kheme pa sar khole nikal aai kynN Zainab
Koi lillah samjhao use kheme mai jane ko
Jo dekha saamne…
Najaf se aaiye Baba madad ko waqt aakhir hai
Bohut betaab hai shimr e laiN khanjar chalane Ko
Jo dekha saamne…
Sakeena ko qaza aai jo zindaN mai to ma boli
Gayi tum chore ke mujhko yaha aaNsu bahane ko
Jo dekha saamne…