Jo Bijli Teighe Haider Ki sare Khaiber nazar aaye

Noha

Jo bijli teighe Haider ki sar e Khaiber nazar aaye
Sar e Marhab pa chamki, jab par e Gibraeel par aaye
Jo bijli teighe Haider ki sar e Khaiber nazar aaye

Padhi thi kuch ajab andaaz se mursal ne Khaiber mein
Ali ki shakl mein Naad e Ali sab ko nazar aaye
Jo bijli teighe Haider ki sar e Khaiber nazar aaye

Qayamat kyu na ho Abbas ka hamla sare saahil
Nazar aaya jo darya baazu ki machli ubhar aaye
Jo bijli teighe Haider ki sar e Khaiber nazar aaye

Sunaaati thi Butool e paak ko sab jang ki baatey
Palat kar jang se teigh e Ali jab apne ghar aaye
Jo bijli teighe Haider ki sar e Khaiber nazar aaye

Ali ke haat ki zarbat hai goya zarbat e Qaadir
Sar e arzaq par chamki thi ke badhkar ta kamar aaye
Jo bijli teighe Haider ki sar e Khaiber nazar aaye

Ali ko ahl e eemaan dekh kar Kaabe mein kahtey hain
Mohammad ke liye Allah ke ghar me sipar aaye
Jo bijli teighe Haider ki sar e Khaiber nazar aaye

Yeh Shamsheeer e Ali hai ya ha i baraste abr mein bijlee
Waha kaundi, yaha garji, udhar chamki, idhar aaye
Jo bijli teighe Haider ki sar e Khaiber nazar aaye

Likhe thay haath se khud panjetan ke naam kashti par
Tabhi to Nooh ki kashti sare toofan ubhar aaye
Jo bijli teighe Haider ki sa r e Khaiber nazar aaye

Wahi Hur gher kar laaya tha jo Shabbir ko ban meiN
Usi Hur ko rukhe Shabbir meiN jannat nazar aaye
Jo bijli teighe Haider ki sar e Khaiber nazar aaye

Azaab aata hua rukwa diya apni sifharish se
Ata e Shah e Deen Mahir* sare mahshar nazar aaye
Jo bijli teighe Haider ki sar e Khaiber nazar aaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *