Jis zulm se Shabbir ke khaimin me lagi aag

Noha

Jis zulm se Shabbir ke khaimon mein lagi aag
Aise to kisi daur mein, dekhi na suni aag
Jis zulm se Shabbir ke khaimon mein lagi aag

Angaroon par maatam tera hum karte hain Shabbir
Yeh bhi tera ejaaz hain, jo phool bani aag
Jis zulm se Shabbir ke khaimon mein lagi a ag

Sajde ko kiya toone magar Shaa -e-shariyat
Jo toone lagaye thi, na woh ruk na saki aag
Jis zulm se Shabbir ke khaimon mein lagi aag

Abbas ki talwaar hai tasweer -e-Qayamat
Yehi kaap ke bijli giri, woh dekho lagi aag
Jis zulm se Shabbir ke khaimon mein lagi aag

Abbas ki talwaar se barsa lahoo itna
INCOMPLETE NAUHA….

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *