jawaani roeigi jin par sada woh kushtaey ghAm

Noha

jawaani roeigi jin par sada woh kushtaey ghAm
naweiN imam Mohammed Taqi, shahe aalam

juda padar se huEy paanch saal ke sinn mein
gaey imame Razaae ghareeb, sooey ajam

rahey Madeene meiN chAh saal, baap se chuTt kar
ke Motasim ne bulaaya Iraq meiN ba sitam

rakha ba izzato tauqeer pahle paas apne
dilaaya khaane meiN phir shaahe deeN ko zahr’e sitam

hai doosri yeh rawaayat, tha zahr sharbat meiN
ke jis se raahiye jannat huey, imame Nahum

thi zauja aapki MamuN Rasheed ki dukhtar
uss umme fazl ke haathon hua yeh zulm o sitam

gharaz ke qaatile Hazrat hai, Motasim billah
diya ho khaane meiN ya sharbate anaar meiN sAm

seh shamba,aur thi untees maahe Zeeqaada
sidhaare do sAd o bastUm meiN shah suey Iram

hui hai zindagi dushwaar Hind meiN ab to
bula lo Fikr* ko rauzey pa ya Shahey Aalam

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *