Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Noha

Chilla rahi hai der se Madar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Sadme tere judai ke kaise uthaye MaaN
Awaaz kuch to do, mere Dilbar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Seene mei isteraab hai dar par nigaah hai
Ai mere ham Shabe e Payambar Kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Paighaam mout ka tha yeh attharwaN baras
Noor e Nighah Sibte Payambar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Ai Haashmi jawaan, tammana e Fatima
Ai arzoo e Saaqi e Kausar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Shabeer ki nigaah mein tareek hai jahan
Laila ke chand mere munnawar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Ghar hai udaas bali Sakeena hai beqaraar
Ai rooh e jaan e Haidar o Safdar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Ab kaise dekhna nana ki tasweer ko Hussain
Aayeena e Jamal e Payambar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

MaaN tum ko dhoondti hai andhere mein raat ke
Ghar bhar ki raushni Mahe Anwar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Aada e Deen le gaye asbaab loot kar
Chinnti hai ab Sakeena ki chadar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Aaya hai shimr khaime jalane ke waaste
Chadar haram ki chhinti hai Akbar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Ja kar Madane waloN ko main doon gi kya jawaab
PoocheN ge jab Jawaan Ali Akbar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

SaidaniyoN ke beech mein Laila ke thay yeh bain
Maa ko akela chhod kar Akbar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Jab silsila hayaat ka toote ga ai Qamar*
Poochen ge log khadim e Sarwar kahan gaye
Jangal mein mujhko chhod ke Akbar Kahan gaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *