Kehte Hain Jab Bhi Jis Ko Bhi Jana Ho Karbala Maula
Zawear Jis Ko Bana Ho Maula Hussain Ka
Lazim Hai Iss Ke Waste Abbas Ki Riza
Abbas Ki Riza
Abbas Bulalo Zawaar Bana Do
Ik Baar Hame Roza E Shabbir Dikhado
Mola Mere Mola Mere Mola Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai
Abbas Bulalo Zawaar Bana Do
Ik Baar Hame Roza E Shabbir Dikhado
Mola Mere Mola Mere Mola Mere Mola
Badshah E Karbala Hai Shah E Nenawa
Jald Bulana Hamain Jald Bulana
Jab Aaye Chand Raat Muharram Ki Ya Khuda
Ay Kash Karbala Main Hon Ham Bhi Kisi Jagah
Manzar Wo Ham Bhi Dekhle Parcham Kushai Ka
Labaik Ya Hussain Hamari Bhi Ho Sada
Pana Hai Ye Sharaf Pana Hai
Sheh Ke Zawaaron Main Naam Likhwana Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai
Abbas Bulalo Zawaar Bana Do
Ik Baar Hame Roza E Shabbir Dikhado
Mola Mere Mola Mere Mola Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai
Mola Tumhare Chahane Walon Ki Hai Sada
Karna Hai Karbala Main Hi Ashur E Karbala
Mola Nazar Ke Samne Roza Ho Aap Ka
Matam Zari Ke Samne Ho Aap Ka Bapa
Kehna Hai Bas Yehi Kehna Hai
Hum Ko Bhi Mola Ke Saye Main Rehna Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai
Abbas Bulalo Zawaar Bana Do
Ik Baar Hame Roza E Shabbir Dikhado
Mola Mere Mola Mere Mola Mere Mola
Badshah E Karbala Hai Shah E Nenawa
Jald Bulana Hamain Jald Bulana
Mola Hame Bhi Apni Ziyarat Karaiye
Aye Famita Ke Laal Hame Bhi Bulaiye
Zawaar Karbala Ka Hame Bhi Banaiye
Jageer Bawafa Ki Hame Bhi Dikhaiye
Aana Hai Roz Wo Aana Hai
Zikr E Mola Karne Ham Ko Bhi Aana Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai
Abbas Bulalo Zawaar Bana Do
Ik Baar Hame Roza E Shabbir Dikhado
Mola Mere Mola Mere Mola Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai
Dekhein Nazara Ham Bhi Wahan Arbain Ka
Pedal Safar Najaf Se Karain Suye Karbala
Bante Sabeel Aur Tabaruk Jagah Jagah
Jari Rahe Aaza E Hussaini Ka Silsila
Karna Hai Ye Safar Karna Hai
Sang Azadaron Ke Ham Ko Bhi Jana Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai
Abbas Bulalo Zawaar Bana Do
Ik Baar Hame Roza E Shabbir Dikhado
Mola Mere Mola Mere Mola Mere Mola
Badshah E Karbala Hai Shah E Nenawa
Jald Bulana Hamain Jald Bulana
Ye Aarzu Hai Karbubala Jab Bhi Jayain Gy
Ham Khemagah Mashko Alam Le Ke Jaye Gy
Abbas Ka Hussain Ko Noha Sunain Gy
Sadat Ke Ugarne Ka Matam Karai Gy
Rona Hai Han Hame Rona Hai
Karbala Walon Ka Soog To Hona Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai
Abbas Bulalo Zawaar Bana Do
Ik Baar Hame Roza E Shabbir Dikhado
Mola Mere Mola Mere Mola Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai
Kat Kar Gire The Bazu E Abbas Jis Jagah
Wa Hasrata Wa Ghurbata
Kat Kar Gire The Bazu E Abbas Jis Jagah
Akbar Jawan Ka Jahan Chhalni Gigar Huwa
Asghar Ne KHaia Haske Jahan Teer E Hurmala
Duba Jahan Pe Khoon Main Lashkar Hussain Ka
Jana Hai Har Jagah Jana Hai
Jake Har Ghurbat Par Ashk Barsana Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai
Abbas Bulalo Zawaar Bana Do
Ik Baar Hame Roza E Shabbir Dikhado
Mola Mere Mola Mere Mola Mere Mola
Badshah E Karbala Hai Shah E Nenawa
Jald Bulana Hamain Jald Bulana
Mola Hussain Aap Ne Kya Kaam Kardiya
Apne Lahu Se Khak Ko Khak E Shifa Kiya
Mola Yahi Hai Aap Ke Zawaar Ki Dua
Ham Bhi Parhain Namaz Sar E Arz E Karbala
Sunna Hai Han Hame Sunna Hai
Haram E Mola Ki Wo Aza Sunna Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai
Abbas Bulalo Zawaar Bana Do
Ik Baar Hame Roza E Shabbir Dikhado
Mola Mere Mola Mere Mola Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba Khuda Mola Ke Dar Hamain Jana Hai