Jaisa apna hai Nabi*, koi payamber * na mila

Noha

Jaisa apna hai Nabi, koi payamber na mila

Saff shikan deikh liye, eik bhi Haider na mila
Fatima aisa koi noor ka mahwar na mila
Aaj tak Shabbar o Shabbir ka hamsar na mila
Panjeta Paak se kaunaiN meiN behtar na mila

Jaisa apna hai Nabi, koi payamber na mila

Raat bhar tadpa kiya, pyaas ke maare ki tarha
Khamoshi lab pa thi, darya ke kinare ki tarha
Yaad e Sheh dil meiN thi, bahte huEy dhaare ki tarha
Dar e Shabbir pa pahoNcha hai, sitaare ki tarha

Hurr ke manind, naseebe ka Sikandar na mila
Jaisa apna hai Nabi, koi payamber na mila

Aam logoN meiN kahaN, Nafse Payamber ka jawaab
Khaak ke putle nahiN, noor ke paiker ka jawaab
Har sipaahi kahaN ban jata hai, lashkar ka jawaab
Kaise mil jaaeiga Ashaab meiN, Haider ka jawaab

Bazm e Ashaab meiN jab doosra Bu Zarr na mila
Jaisa apna hai Nabi, koi payamber na mila

Baaghe Firdaus e Iram, chaahiye Kausar ke liye
Noor hi zeib hai, kuch noor ke paiker ke liye
Ek samandar ki zaroorat hai, samandar ke liye
Rab ne Haider ko chuna, Bint e Payamber ke liye

Chashme Qudrat ko bhi iss ghar ke siwa kuch na mila
Jaisa apna hai Nabi, koi payamber na mila

Shab ke ta’binda sitaroN se unheiN kuch na mila
Din ke rangeen nazaroN se unhein kuch na mila
Iss zamaane ki baharoN se unheiN kuch na mila
Bahte darya ke kanaroN se unheiN kuch na mila

Zindagi meiN jinheiN Mahir*, gham e Sarwar na mila
Jaisa apna hai Nabi, koi payamber na mila

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *