jahaaN meiN aaj ibne Saqiye Kausar ka suyyum hai
qateel’e raah’e haq, sardaare bahr o bar ka suyyum hai
rahi jalti zameeN pAr laash jis mazloom ki uryaaN
usi Shaahe do aalam, kushtaey khanjar ka suyyum hai
jo saqqaaey Sakina aur Alambardaare lashkar tha
usi dilbande Haider, ghaazio Safdar ka suyyum hai
qalam shaane huEy darya pa jiske, roaze Aashoora
karo maatam ke aaj uss saaniye Jaafar ka suyyum hai
sinaaN seene pa kha ke, jis ne apni jaan di rUn meiN
usi noore nigaahe Shaahe deeN, Akbar ka suyyum hai
jawaani roaegi jispar qayaamat tak zamaane meiN
usi kaRyal jawaaN hUmshakle Paighamber ka suyyum hai
na jo pusht’e faras par, kamsini se baith sakta tha
zamaane mein usi lakhte dile Shappar ka suyyum hai
shuja’at aur ghairat, jis ke sin par fakhr karti thi
usi naashaado kamsin, Qasim’e muztar ka suyyum hai
baRhaaya doodh jiska Hurmala ne, apne paikaaN se
azeezoN aaj uss naadaaN, Ali Asghar ka suyyum hai
hua tha qatl jo jo nusrate Shaahe dO aalam meiN
uRaao khaak aaj un ghaaziyo safdar ka suyyum hai
tujhe aey Fikr* jiski qabr par jaane ki hasrat hai
usi mazloom, tashna lAb, ShAhe be_sAr ka suyyum hai