Jab Yaad Sakina Ko Teri Athi Hai Baba

Noha

Jab yaad Sakina ko teri athi hai baba
Sar zinda ke deewareon se takrathi hai baba

Darbare yazeedee me bhala kaise mai jaeon
Hai chaak gareban haya athi hai baba

Jab yaad Sakina ko teri athi hai baba

Kaneon se tapaktha hai laho sheneon pe mere
Zalim ki aziyath mujhe tadpathi hai baba

Jab yaad Sakina ko teri athi hai baba

Marjaongi pyasi na kabhi mangoongi pani
Asghar ki mujhe pyaas jo yaad athi hai baba

Jab yaad Sakina ko teri athi hai baba

Jab tak tere seene pe na sojaye Sakina
Zinda me ose neendh kahan athi hai baba

Jab yaad Sakina ko teri athi hai baba

Jalthe howe khaimeon ke nazaare hain nazar me
Ye bath khayaleon se kahan jathi hai baba

Jab yaad Sakina ko teri athi hai baba

Yaad athe hain jab shumere sithamgar ke mazalim
Ye nanhi si dukhthar teri ghabrathi hai baba

Jab yaad Sakina ko teri athi hai baba

Hai kaun mere paas jiyon kiske sahare
Tanhayi meri mauth bani jathi hai baba

Jab yaad Sakina ko teri athi hai baba

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *