jab hua halqey Ali Asghar nishaana teer ka
aur ShAhe deeN dafn laasha kar chuke be_sheer ka
aake khaimey meiN kiya sAb beebiyoN se yeh khitaab
ab jahaan meiN koi bhi moonis nahiN Shabbir ka
tum sabhoN ko haq ta’alaa ki hifaazat mein diya
dhiyaan rakhna baad meire Aabide Dilgeer ka
qaaid iss beemaar ko a’adaa kareinge meire baad
qaher hoaga baar uthaana, tauq aur zanjeer ka
dUrr Sakeena ke utaareiNge tamaache maar kar
aur koi moonis na hoaga dukhtare Shabbir ka
haaey nanNha sa gala rassi mein baaNdheiNge shareer
haal kya uss waqt hoaga be_kaso dilgeer ka
naNge sAr tUm sabko bhi le jaaeiNge baazaare Sham
hoaga ek aNmboah uss jaa par, jawaan o peer ka
gar koi poocheiga unse, tUm sabhoN ka haal e zaar
to kaheiNge, hai yeh kunba Shaahe Khaibar_geer ka
sabr karna hAr museebat par, tumheiN haq ki qasam
mitt nahiN sakta mitaaey se likha taqdeer ka
deyr hoti hai, khuda haafiz, salaame aakhri
ab bahot mushtaaq hooN maiN Shimr ki shamsheer ka
khooN ke aaNsu ab qalam roata hai bAs aey Fikr* bAs
phir gaya aaNkhoN mein naqsha rauzaey Shabbeer ka