Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Takbeer ki aaiye jaise sada
Har ek ko Akbar yaad aaye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Hasta jo koi baccha dekha
Chha maah ke Asghar yaad aaye
Yaad aaiye aimoo ko karbo-bala
Ek dukhiya maadar yaad aiye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Khat bhej ke yeh Sughra ne kaha
Kya bhool gaye mujhko Baba
Deedar ko tarsi hai dukhiya
Har waqt baradar yaad aaye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Ab asr ka sooraj hai dhalta
Aur shimr ka khanjar hai chalta
Shabbir ka aisa hai sajda
Ke sajda-e-Haidar yaad aaye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Kaise hai musibat ranj -o-alam
Koofe me baraina-sar hai haram
Har simt khade hain na-mehram
Tatheer ki chadar yaad aaye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Meraj-e-haya thi naize par
Rukta hi na tha Abbas ka sar
Kaithe hai yeh Zainab ro-ro kar
Bazaar ke manzar yaad aaye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Zindaan se qaidi jab choote
Aur wapas yasrab mein pauche
Dil ahl -e-madina ke toote
Har-ek ko Sarwar yaad aaye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Kaihe thi Sakeena Amma-ja
Besheer mera bhaiyya hain kahan
Kya us-se kahe dukhiyari maa
Besaqta Asghar yaad aaye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Jab ghar me bana koi dhoola
Yaad aa gaya Qasin ka sera
Nauha bhi pada, maatam bhi kiya
Aur Dilbar-e-Shabbar yaad aaye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Jis jaah par kahi paani barse
Aur dekhe humne khet hare
Asghar ka laho rukh par apne
Malte hue Sarvar yaad aaye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Yai kaun Muneer* apna hamsalf
Kyonkar ho hume khauf -e-mehshar
Ho aakh gham-e-Shabeer me tar
Aur nazaam-e-Haidar yaad aaye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye
Jab Hamne Suni Masjid Se Azaan
Hum-shakl-e-Payambar yaad aaye