Jab chaman gulzar e Jannat ke saware jaayenge
Aashiq e Baagh e Nabi us dam pukare jaayenge
Jitne taare hain falak par, ai Ghulaaman e Ali
Unse ooche mere aahon ke sharare jaayenge
Kaaptey haaton se turbat khod ke Shah ne kaha
Humse Asghar qabr me kyonkar utarey jaayenge
Bhajo Jannat ya ke Dozaq ai Nusairi ke Khuda
Hum kisi aalam mein ho Tumko pukare jaayenge
Kahtey thin Baali Sakina, paani layen ge zaroor
Jab Chacha Abbas darya ke kinare jaayenge
Ai farishton aayenge hum sab Unhi ke sath sath
Hashr mein jab Karbala Wale pukare jaa yenge
Baithe rehti hai hamesha shouk me Labbaik ke
Kyon Zameen e Karbala hum kab pukare jaayenge
Le chalo hamrah apne ya Hussain Ibne Ali
Hashr ko Jannat mein hum kiske sahare jaayenge
Jab chaman gulzar e Jannat ke saware jaayenge