Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Sughra ko diye jaata hai zakhmon ka khazana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Jo hai wohi saaman-e-safar baandh raha hai
Lekin mera bistar use goshey mein pada hai
Mujhse yeh hidayat hai, dawa waqt se khana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Hai saath mein Baba ke Chacha Bhai Hamare
Suraj ke tarafdaar hain sab chand sitarey
Ab aaj se ghar ho ga andheron ka thikana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Beemar hoon lekin koi khatra toh nahin hai
Main raah mein mar jaoon gi aisa toh nahin hai
Dhoonda hai mujhe chhod ke jaane ka bahana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Kuch der woh liptey rahi phupiyon ki ridha se
Baba se kaha aur kabhi apne Chacha se
Le jaane pe Sughra ko magar koi na maana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Pardes mein bhi mere liye sochtey rahna
Khat bheh ke tum sabki khabar bhejte rahna
Is chahne wali ko zyadaa na rulana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Dil ke kise goshe mein mera naam bhi likh lo
Phir jisko bhi chaho use ji jaan se chahoo
Lekin mere hissey ki mohabbat na lutaana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Main koi bhi zahmat tumhe hone nahin doongi
Aakhey toh alag dil ko bhi rone nahi doongi
Tum mere taraf se koi sadma na uthana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Kuch din mein mera Bhai ho jab bolne wala,
De dena isharon mein use mera hawala
Bechain agar ho to use zyada na batana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Tanhayi pade had se to bhulwa na saku main
Ya aana bhi chhaoon kabhi aa na sakon main
Bas itni guzarish hai kahindoor na jaana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Jeene nahin deta mujhe yaadon se bhara ghar
Aisa bhi nahi koi jo gham baat le aa kar
Apno ki tarah bhool gaya mujhko zamana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana
Di lakh Suroor* usne na jaane ki duhai
Beemar kisi ko bhi magar rokh na pai
Ashkon ki tarah ho gaye sab log rawana
Jata Hai Madine se Mohammad ka Gharana