itrat’e Aale Nabi yaaN be_rida mehfil meiN hai

Noha

itrat’e Aale Nabi yaaN be_rida mehfil meiN hai
muztareb waaN rooh’e Zahra qabr ki manzil meiN hai

jisko kaaNdhey pAr CaRhaate thEy Payamber aey Yazeed
sAr usi ka takht ke neeche teri mehfil mein hai

hain hazaaroN zakhm khUd mAr jaaeiga Ibne Rasool
zebha ka aey Shimr ab kyuN qasd teire dil mein hai

hai Yazeed’e ru_siyah to takht pAr baa_izzo shaan
aur imame waqt mujrim ki tarah, mehfil mein hai

maujeiN maatam kar rahi haiN, sAr patakte haiN hubaab
khooN jo Abbaas’e Jari ka daaman’e saahil meiN hai

Shaam ka zindaaN na raushan kar saki jo chaandni
daagh uss se aaj tak qalb’e mahey kaamil mein hai

kashtiye umr’e Hussain Ibne Ali hoti hai gharq
ek talaatum aaj aab’e khanjar’e qaatil mein hai

ek jafaa se kyuN na hoN do khoon ke darya rawaaN
halq’e Asghar mein jo naawak hai woh ShAh ke dil meiN hai

apne raozey par Hussain aey Fikr* khUd bulwaaeiNge
Karbala jaane ki hasrat gar tumhaare dil mein hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *