imame haftumi Moosiy’ye Kaazim dilbare Zahra

Noha

imame haftumi Moosiy’ye Kaazim dilbare Zahra
wasiye Sadiqe Aale Nabi ko zahr se maara

muqayyad sat’rah saal aap zindaaN meiN rahe paihAm
magar shikwa bajuz zikre khuda lAb tak nahiN aaya

namaazeiN paRhta tha waqte fazeelat rozadaar uthkar
faraaghat paate hi karta tha phir ma’abood ka sajda

suns yuN shAh ko kahte ba’arha darbaane zindaaN ne
ke khwahish thi, diya toone mujhEy ta’at ko ghar tanha

thEy ek din mubtalaae dArd maula, yeh khabar sUnkar
tabeebe khaas ko HarooN Rasheed’e nahes ne bheija

yeh fahmaaesh hakeem’e ru’siya se ki thi ta’akeedan
dawa meiN ibne Farzand’e Nabi ko zahr de deina

pilaai hasb’e farmaaesh tabeeb’e khaas ne ShAh ko
dawa peete hi haal abtAr hua mazloom o be_kas ka

Rajab ki bast o panjum, jumaa sAn ek sau teraasi meiN
imame haftumi ko be_haya ne zahr se maara

Safar ki sat’tara, yakshamba tha, sAn ek sau at’thaais
imame Moosiye Mazim huEy thEy Fikr* jab paida

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *