ImaaN ke ujaale haiN, Aashoor ki garmi hai
Shabbir ki qismat hai, aur goad ke paale haiN
ImaaN ke ujaale haiN, Aashoor ki garmi hai
YahaN dil taho baala hai, wahaN chayn ke laale haiN
Shabbir zaifee meiN Akbar ko sambhaale haiN
ImaaN ke ujaale haiN, Aashoor ki garmi hai
Jis tarha koi chaahe, ghar loot le pyaasoN ka
Jalti hui reiti par,sab chaahne waale haiN
ImaaN ke ujaale haiN, Aashoor ki garmi hai
Abid ko koi deikhe, darbar meiN Koofe ke
Beirdi ko uthaaey haiN, Zanjeer sambhaale haiN
ImaaN ke ujaale haiN, Aashoor ki garmi hai
Uljhaya tha Laila ne, suljhi hui zulfoN ko
Phir maut ne aey Akbar, bal geisuoN waale haiN
ImaaN ke ujaale haiN, Aashoor ki garmi hai
Deikho to Ali Asghar, aaghosh meiN Baba ki
Kya kaaNpte haatoN se Ummat ko sambhaale haiN
ImaaN ke ujaale haiN, Aashoor ki garmi hai
Be’faiz zamaane se, kya unko gharaz koi
Ab Qabr ki duniya ke Shabbir ujaale haiN