Husainiyon Badhe Chalo Hayat Ko Jhinjhod Do

Noha

Husainiyon badhe chalo hayat ko jhinjhod do
Sitam shiaar jo badhe, kalayiaaN madood do
Husainiyon badhe chalo hayat ko jhinjhod do

Ali ka Sher aaye ga, to jang bach na paye gi
Yeh kah rahe thay ashkiya, tarai aaj chhod do
Husainiyon badhe chalo hayat ko jhinjhod do

Hussain ne Sagheer se, isharon mein yeh kah diya
Kaman e zulm chhen lo, jo teer aaye tod do
Husainiyon badhe chalo hayat ko jhinjhod do

Yeh dil se Hur ne faisla, kiya lahoo ki raat ko
Hussain hi ka saath do, sipah e shaam chhod do
Husainiyon badhe chalo haya t ko jhinjhod do

Lahoo se dasht e Karbala, ubal pade abhi abhi
Hussain shukr karte tum, jo aag thi nichod do
Husainiyon badhe chalo hayat ko jhinjhod do

Rasool-zadiyaaN hain yeh, Jo be-rida hain shaam mein
Hussain qath ho chuke, JafayeN ab to chhod d o
Husainiyon badhe chalo hayat ko jhinjhod do

Tadap ke boliN MayyateN, Hussain Ibn e Fatima
Madad ko phir uthen ge hum, Jo tan ko sar se jod do
Husainiyon badhe chalo hayat ko jhinjhod do

Gham e Shaheed e Karbala, Me badh ke Salik* e Hazeen
Jo khoon e dil na ro sake, un aabloN ko phod do
Husainiyon badhe chalo hayat ko jhinjhod do

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *