Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Marne wale kya teri taqdeer hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Khuaf kya Mehshar* daaman-geer hai
Haath may jab daamane Shabbir hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Apne apno ke to kaam aate hai sab
Ha Ali maula-e-aalam geer hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Kyon na ho mai hoo ghulame bu turaab
Baaghe jannat han meri jageer hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Gar hata do noor-e-ahle bayt ko
Kaunsi islam may tanveer hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Aap ne jo khwab dekha tha khaleel
Karbala us khwab ki tabeer hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Naam hai mera azadare Hussain
Kaam mera matame Shabbir hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Dekh ummat dekh le Akbar ki laash
Ye nabi ki hoo bahoo tasveer hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Kat raha hai taygh se Sheh ka gala
Aur baali par khadi hamsheer hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Jodta hai kyon kamaan se teere zulm
Hurmula Asghar ki kya taqseer hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Laashe Akbar dekh kar maa ne kaha
Khwab kya dekhe thay kya tabeer hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai
Ek Ali ke thi galay may reesma
Ek Ali ke paaon may zanjeer hai
Hur ka sar hai zaanuye Shabbir hai