Kahten thin yeh ro kar Maan, Seeney mey dil hai kahan
Ek hai kadyal -jawaan, doosra hai be-zubaan
Dono sidhare jinnah, Dasht mein tanha hai Maan
Soona hai saara jahan, ujada pada hai makan
Aakhon se khoon hai rawan,
Ho Ali Akbar Kahan, Ho Ali Asghar Kahan
——————————————————————————
Karti hoon kab se buka, deyte nahin ho tum sada
Kyon huye mujhse khafa, kya hui mujhse khata
Kis tarhan chootey ho tum mujhse main tum par fida
Is tarhan koi pisar maa se na howe judaa
Dasht mein tum meri jaan, ho gaye kyon saaniha
Ho Ali Akbar Kahan, Ho Ali Asghar Kahan
——————————————————————————
Meri ummeeden gaye, mere sahare gaye
jinko samajhtin thin jaan haye woh pyare gaye
Pyaas se they jaanbalab, pyasee hi maare gaye
Karbobala mein woh aah zulm se maare gaye
Aakhon se khoon hai rawan, Tumko main paaon kahan
Ho Ali Akbar Kahan, Ho Ali Asghar Kahan
——————————————————————————
Muft jawani teri raiga Akbar hui
Khaakh mei poshida aaj soorat -e-Asghar hui
Sar se rida chhin gaye, qaid bhi Maadar hui
Rann mei na ab tak ama mujh ko amyassar hui
Tum ho sidhare jinnah, mujh ko bula lo wahan
Ho Ali Akbar kahan, ho Ali Asghar kahan
——————————————————————————
Khaima jala, ghar luta, baade Shah-e-do-jahan
Ab koi mumkin nahin poochne wala koi yahan
Ai mere rooh-e-rawan, ai mere taab-o-tawan
Waadi-e-ghurbat mein aaj, chhut gayi dono se maa
Ek ka gala chhid gaya, ek ne khaye sina
Ho Ali Akbar kahan, ho Ali Asghar kahan
——————————————————————————
Boli Mussawir* yeh maa, gham ki ghata cha gayi
Rann mein mere Sher ko, kiski nazar kha gayi
Haslion wala jo tha, usko bhi maut aa gayi
Ghar to to weeran kiya, Karbobala bha gayi
Dil mein hai ek ke sina, teer ne le li ek ki jaan
Ho Ali Akbar kahan, ho Ali Asghar kahan