Hazrat Abbas – pyaas-atfaale ShAhe-deeN ki

Noha

pyaas atfaal’e ShAhe deeN ki bujhaane ke liye
jaate haiN Abbas’e ghaazi, paani laane ke liye

boale ShAh dil thaam kar, maqtal ko jab Akbar chale
dooN reza kis tarha barchi dil pa khaane ke liye

laash’e Akbar aai khaime meiN to maadar ne kaha
kya gaey thEy ghar se maqtal khuld jaane ke liye

neeNd ajal ki aa gai tumko mere kaRyal jawaaN
aur hUm mushtaaq thEy doolha banaane ke liye

kaisi yeh ghaflat hai, bAs ab so chuke beita utho
maaN sarhaane aai hai tumko jagaane ke liye

mayyat,e Asghar pa maadar ne kaha sAr peet kar
rUn mein kya beita gaEy thEy teer khaane ke liye

ghutniyoN chalne na paaey thEy ke maut aai tumheiN
maan akeili rah gai sadme uthaane ke liye

yaaN giri baali Sakeena, rUn meiN laash’e Shaah par
waaN chala Shimr’e laeeN durrey lagaane ke liye

ya Hussain ab Fikr* ko Karb o Bala bulwaaiye
dil bahot beitaab hai, rauze pa jaane ke liye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *