Hayee Ali (a.s) qatl hoo gae

Noha

Haye Ali Qatl Hogaye
Jibreel de rahe thay nida ke ghazab hua
Hyder ko qatl qanaye khaAliq may kardiya
haye Ali qatl hogaye

——————————————————

Shehzadiyo ne jyon hi suni gham ki ye sada
betaab hoke royi aur Hasnain se kaha
masjid may jaake dekho zara kya hai maajra
ye Jaun keh raha hai hue qatl Murtaza
haye Ali qatl hogaye

——————————————————

zarbe layeen se hogaya jis dam do para sar
us dam alam se hilte thay masjid ke bamo dar
mehraab aur musalla hua saara khoon may tar
kaampa falak to zalzala aaya zameen par
haye Ali qatl hogaye

——————————————————

Daude ye sunte hi suye masjid Hassan Hussain
dekha namazi karte hai naale ba shoro shain
apne lahoo may laut-te hia Shaahe Mashraqain
paaya pidar ko aise kiye dono ne ye bain
haye Ali qatl hogaye

——————————————————

dekha namaziyo ne jo beton ko hat gaye
Hasnani badke apne pidar se l ipat gaye
naale kiye wo sunke jigar gham se phat gaye
riqqat se doston ke kaleje ulat gaye
haye Ali qatl hogaye

yan ho rahi thi seena zani naala -o-buka
aayi kahin kareeb se Fizza ki ye sada
Zehra ki betiyon ko nahi yaara zabt ka
bechain hai wo dekhne ko haale Murtaza
haye Ali qatl hogaye

kya haal hai pidar ka na aakar bataoge
Hasnain se kaho ke jo unse chupaoge
Hyder ko jald ghar may agar tum na laaoge
Zainab ko sar khule hue masjid may paaoge
haye Ali qatl hogaye

——————————————————

awaaz sunke bole Ali ye baja nahi
hum besahara bekaso beaashna nahi
hai paas sab rafeeq ye ahle jafa nahi
kufa hai kehdo beti se ye Karbala nahi
haye Ali qatl hogaye

——————————————————

Hasnain leke baba ko pahunche khareebe dar
sab hatgaye Anees* jo aaya Ali ka ghar
betaab hoke betiyan nikli barehna sar
lipti pidar se aah hui is tarha nohagar
haye Ali qatl hogaye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *