Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Noha

Haye Asghar kah ke rulwati rahi
Maa lahoo aakhon se barsati rahi

Jab se chhoda Shah ne apna watan
Raaste taqdeer dikhlati rahi
Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Maa yeh kah ke, shab ko aayen ge Padar
Qaid mein Beeti ko bahlati rahi
Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Le chale thay Shah jab Besheer ko
Ma ko eik ummeed bahlaati rahi
Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Jab suna maaN nein ke Asghar mar gaye
Haaye woh ummeed bhi jaati rahi
Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Deir tak MaaN ko nahin aaya yaqeen
Deir tak MaaN dil ko samjhati rahi
Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Laash Asghar ki jab aaye saamne
Khoon e dil aakhooN se barsati rahi
Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Tashnalab Zaherra ka Dilbar mar gaya
Alqama se nahar lahrati rahi
Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Ro ke bloiN shukr hai Parwardigar
Tashnagi Besheer ki jaati rahi
Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Har khushi meiN ho ga Sahba* dil ko gham
Gar musibat Shah ki yaad aati rahi
Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Bakshish e ummat ka Shah ko tha khayaal
SaaNs jab tak jism meiN aati rahi
Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Karbala meiN haye Ahlebait par
Gham ki shab kaali ghata jaati rahi
Haye Asghar kah ke rulwati rahi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *