Hasher ek, Zainab-e-Dilgeer liye baithey hai
Dil mein apne gham e Shabbir liye baithi hai

Koofa o Shaam se Sajjad abhi guzren to
Gham e (unclear) Jigar mein liye baithey hai
Hasher ek, Zainab-e-Dilgeer liye baithey hai
Shah se kah de koi masoom ki gardan ke liye
Hai kamaan zulm ka ek teer liye baithey hai
Hasher ek, Zainab-e-Dilgeer liye baithey hai
Kha ke barchi ki ani khaakh par soney waley
Umm e Laila teri tasweer liye baithey hai
Hasher ek, Zainab-e-Dilgeer liye baithey hai
Yaad e Besheer mein jhooley ke kareeb aag gaye Rabaab
Dil mein ek chand si tasweer liye baithey hai
Hasher ek, Zainab-e-Dilgeer liye baithey hai
Aaaye ab chain Sakeena ko kahan baad e Hussain
Goad mein bachchi taqdeer liye baithey hai
Hasher ek, Zainab-e-Dilgeer liye baithey hai
Mashk bheji na Chacha naher se wapas aaye
Yeh gila Dukhtar e Shabbir liye baithey hai
Hasher ek, Zainab-e-Dilgeer liye baithey hai
Tan se ai Shimr juda karta abhi farq e Hussain
Goad mein madar e Shabbir liye baithey hai
Hasher ek, Zainab-e-Dilgeer liye baithey hai
Qasid ab der na kar aa bhi Madine ki taraf
Ghar pe Sughra koi tahreer liye baithey hai
Hasher ek, Zainab-e-Dilgeer liye baithey hai
Na chupa zulm e Yazeedi na chupa ai Salik*
Sari duniya gham e Shabbir liye baithey hai