hai makhsoos aathveeN maahe aza ki jis dilaawar se
baRi ulfat thi uss jarraar ko Sibte Payamber se
talaaya phir rahe thEy ShAh shabe aashoor jab hAr soo
tO Kulsoom uss ghaRi yeh kah rahi theeN uss dilaawar se
ke bhayya subho ko qurbaaniye Aale Mohammed hai
nisaar aulaadeiN apni sAb kareiNge Shaahe deeN pAr se
nahiN hai koi bhi aulaad mujh dukhiya ki duniya mein
hijaab aaeiga kal ke din mujhe Sibte Payamber se
suni jab yaas ki taqreer yeh Abbas’e ghaazi ne
to rakhkar sAr ko qadmon pAr kaha Kulsoom’e muztar se
hooN main bhi tO ghulam eik aapka, kyuN aapko ghAm hai
mujhe kal aap sadqa keejiyega Shaahe deeN pAr se
gharaz hamsheer ko taskeen de kar chupp huEy Maula
khitaab ab maiN yeh karta hooN Alamdaare Dilaawar se
ke aey Aaqa khabar lillaah leeje roaz’e Aashoorah
sitamgar lEy gaEy chaadar usi Kulsoom ke sAr se
usi ghar meiN chale aaEy laeen, leeje khabar Maula
ke jaari rasm parde ki hui thi aah jis ghar se
shaqi Aabid ko leikar ab chale haiN jaanibe Koofa
utheiga baar kyuNkar tauq ka beemaar o laaghar se
bula leeje suEy Karbo ala ab Fikr* ko Maula!
ke sAdme uth nahin sakte haiN uske qalbe muztar se