Hai Ali Asghar Bohut bechain maan tere liye

Noha

Hai Ali Asghar Bohut bechain MaaN tere liye
JangaloN meiN karti phirti hai fughaN tere liye
Chhan dali khaak aalam ki tujhe paya nahin
Ab kahe koi ke jaon main kahan tere liye

Qaid ho kar ja chuka ho ga yeh sab kunba tera
Phas chuka hai dasht me yeh karwaan tere liye
Kuch ishare se bayan kar de ke bagh e khuld mein
Kya hua samaan mere tashnadahan tere liye

Jis tarahan naiza Ali Akbar ko hisse mein mila
Khalkh duniya mein hue teer o kaman tere liye
Halq mein kaateN pade honge ghazab ki dhoop hai
Le ke aayeN hooN main paani bezubaan tere liye

Is tarah se bekasi ki maut duniya mein hui
Royenge ta zindigi dil o jehan tere liye
Loriyan de kar sulane ke liye mujhko buloa
Khulld mein jhoola pada hai ab jahan tere liye

Dhoondta phirta hai kahye ko Razi* jaye lahed
Hai zameen e rauza e Shah e Zaman tere liye
Hai Ali Asghar Bohut bechain MaaN tere liye

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *