Haaye kis tarha kati sham-e-ghariban Zainab
Kitna purhol tha karbal ka bayabaan Zainab
Haaye kis tarha kati sham-e-ghariban Zainab
Aag khaimo may lagi Bhai bhatije na pisar
Kitni us waqt hui aap pareshan Zainab
Haaye kis tarha kati sham-e-ghariban Zainab
Ek barchi ne jigar kar diya chalni warna
Kitne thay dil may tere hasrat -o-armaan Zainab
Haaye kis tarha kati sham-e-ghariban Zainab
Aag ke sholon se Sajjad ko laayi kyon kar
Aaj tak qalb hai us haal pe giriyan Zainab
Haaye kis tarha kati sham-e-ghariban Zainab
Qalbe majrooh pe kya guzri shabe ghurbat may
Aay jis waqt nazar ganje Shaheedan Zainab
Haaye kis tarha kati sham-e-ghariban Zainab
Toota sa naiza liye Aap andheri shab may
Misle Abbas rahi sab ki nigehban Zainab
Haaye kis tarha kati sham-e-ghariban Zainab
Pusht par haath bandhe sar khule aada ke sitam
Kaise dafnati bhala laashe Shaheedan Zainab