Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar, kya Karoon
Thi yeh Bano ki fughan, Duniya mein rah kar kya karoon
Maut ne barbaad kar daal mera ghar, kya karoon
Hai rage jaa ke liye har saaNs nashtar, kya karoon
Hasratoon meiN dil may ek barpa hai mahshe r, kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar, kya Karoon
Jo ishaaron meiN ada hootiN thiN who Baaten nahin
Pyaas ki shiddat mein woh ashkon ki barsaaten nahin
Who tumhare husn ki ab chandni raate nahin
Dekh kar gardon par yeh taroon ka manzar, kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar, kya Karoon
Khaakh ho ke dil mein armaan e jawaani rah gaya
Har zabaan pe qissa e tashna dahaani rah gaya
Tum nahi baqi rahe Duniya meiN paani rah gaya
Hai nazar mein khoon se labrez saagar, kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar kya Karoon
Muskare thay zamane ko rulane ke liyea
Maut ne khud looriyan di thiN sulane ke liye
Rann mein aaye zalzaley jhoola jhulane ke liye
Ab tumhe turbat se ghaiwarey me laa kar kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar kya Karoon
Tum samajhte ho yahan se apne ghar jaoon gi main
Chhod kar Beta tumhe tanhankidhar jaaon gi main
Qubr se takra ke sar jangal mein mar jaoon gi main
Phair loon kyon kar gale par apne khanjar, kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar kya Karoon
Aakhri hichki ne Maadar ki rage dil tod di
Has ke tum ne maut ki jaanib nazar kyoN mod di
Chhey mahine rak ke iss duniya mein Duniya chhod di
Qabr mein kaise bichaoon aa ke bistar kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar kya Karoon
Bas faqat chashme mohabbat ka ishaara dehk looN
Rukh par gesoo ke bikharne ka nazaara dekh looN
Zeenat e aagosh, apna maha para dekh loon
HaaN magar zakhm e gulu dekhoon gi kyunkar kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar kya Karoon
Kuch nahi tumko khabar Shah ka makaan loota gaya
Dasht e ghurbat me Hussaini karawan loota gaya
Sayyed e Abraar ka rann mein makaan loota gaya
Ab na Akbar hai na Abbas e Dilawar kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar kya Karoon
Zindigi do din ki tasweer e khayali ho gayi
Khoon ke misle shafaq chhere par laali ho gayi
Karbala mein aa ke meri goad khali ho gayi
Dekhiyea ab kya dikhata hai muqqadar kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar kya Karoon
Ai mere noor e nazar tumko agar paaon gi main
Dekh lena raat bhar seene se liptaoon gi main
Surkh phoolon se tumhe gulshan ke behlaoon gi main
Ab na bhehjoN gi tumhe main ghar se bahar kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar kya Karoon
Dasht mein barbaad Zaherra ka chaman hai dekh lo
Khaak par Sarwar ka laasha behafan hai dekh lo
Bazoo’on mein gham-naseebo ke rasan dekh lo
Chhen li hai zalimon ne sar se chaadar kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar kya Karoon
Chhain paa ke tumhe aana nahin manzoor hai
Kya wahan meham-nawaazi ka naya dastor hai
Tum jahan tahre ho Beta kya woh manzil door hai
Khud chali aaoN gi main tumko bula kar kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar kya Karoon
Sadr* Maa ke bain se Dariya ke dhaare tham gaye
Rann mein shamma ban ke aahoN ke sharare tham gaye
Apni gardish bhool kar gardoN ke taare tham gaye
Kah rahi thi ab kahan dekhoon go Dilbar kya karoon
Ha’aye Asghar Kya Karoon, Aye Jaan-e-Maadar kya Karoon