Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

Noha

Girya karo Butool ka Shauhar hua shaheed
Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

Chaae na kyoN andhera sar e chashm e MomineeN
DeeN ke Falak ka maher e Munnawar hua shaheed
Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

Kuffar ke diloN mein raha Khauf ban ke jo
Woh Mard e Jung, Fatha e Khaybar hua shaheed
Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

SajdoN ko jis pa naaz hai Jannat ko faqr hai
Woh ghamgusaar Saaqi e Kausar hua shaheed
Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

Rab ki riza bana ke rahe manzil e muraad
Haq ke safar mein deen ka rahbar hua shaheed
Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

Kaunaan meiN mahafiz e Islam e Haq shinas
Azm o Wafa o Sabr ka Paiker hua shaheed
Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

Dast e Nabi se jis ko mila deen ka alam
Woh Meer e Kaarzaar Ghazanfar hua shaheed
Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

Thay jiske ilm o fahem me asraar e kayenat
Duniya mein aisa Shahid e Dawar hua shaheed
Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

Quran jis se kar liya karta thi dil ki baat
Aisa mussaffir aisa sukhanwar hua
Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

Danishwaraan e Daher meiN kohraam mach gaya
Jab Baab e Ilm naam e Khuda par hua shaheed
Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

Mehrab o Masjid o Dar o Dewaar haiN khamosh
Bazm e jahan mein Sahib e Mimber hua shaheed
Ghul hai ke Janasheen e Payambar hua shaheed

Faiyyaz* Zulfiqaar e Falak kyuN na ho Malool
Aisa Sujaha Nazim e lashkar hua shaheeed

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *