Farmate Thay Abbas-e-Alamdar Na Roona

Noha

Farmate Thay Abbas-e Alamdaar Na Roona
Ai meri Sakina meri ghamkhaar na roona

Bibi ke liye laata hoon darya se main paani
Sadqaye ko jaata hai tera Alamdaar na roona
Ai meri Sakina meri ghamkhaar na roona

Tum deodhi par baitho abhi, hum aiye Sakina
Samjha ke yeh jaata hoon, khabardar na roona
Ai meri Sakina meri ghamkhaar na roona

Bacchon ko liye khelo yahin, yahin aye meri pyaree
Bahlaye inhe rakhna, dil -azaar na roona
Ai meri Sakina meri ghamkhaar na roona

Bibi zara dekho to darya pe hain pahrey
Chal jaye jo mujhpe kabhi talwaar na roona
Ai meri Sakina meri ghamkhaar na roona

Tum dekhta rehna mere is sabz alam ko
Chhup jaye yeh nazroon se to ai dildaar na roona
Ai meri Sakina meri ghamkhaar na roona

Bas itna samajh lena ke maare gaye ammu
Chup rehna Khudara meri ghamkhaar, na roona
Ai meri Sakina meri ghamkhaar na roona

Maiyyat pa meri tum na chali aana Sakeena
Ho jaye na marna mera dushwar na roona
Ai meri Sakina meri ghamkhaar na roona

Farmate Thay Abbas-e Alamdaar Na Roona
Ai meri Sakina meri ghamkhaar na roona

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *