Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya
Karawan Lut Gaya, Karawan Lut Gaya
Dasht e gurbat mein raande jo lutne lagin
Haye gahwara e Bezubaan lut gaya
Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya
Karawan Lut Gaya, Karawan Lut Gaya
Khaakh udne lagi, khoon barasne laga
Badshah e Zameen o Zaman lut gaya
Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya
Karawan Lut Gaya, Karawan Lut Gaya
Rann mein taare bahattar thay tootey huey
Kah rahi thi zameen, aasmaan lut gaya
Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya
Karawan Lut Gaya, Karawan Lut Gaya
Rooz e Aashoor kaisi khizan aa gaye
Dasht mein Hashami Positan lut gaya
Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya
Karawan Lut Gaya, Karawan Lut Gaya
Bolin Zainab ke bhai ka ghar kya luta
Meri nazron mein sara jahan luut gaya
Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya
Karawan Lut Gaya, Karawan Lut Gaya
Rann mein Dariya ki har mauj kahney lagi
Haye tashna dahan mehmaan lut gaya
Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya
Karawan Lut Gaya, Karawan Lut Gaya
Har janghan ho rahe thay yehi taskirey
Khaandaan e Risaalat kahan lut gaua
Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya
Karawan Lut Gaya, Karawan Lut Gaya
Raunaqen mit gayen bebasi chha gaye
Taaziyea uth gaye, har makaan lut ga ya
Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya
Karawan Lut Gaya, Karawan Lut Gaya
Is liye hum nikalte hain le kar alam
Shah ke lashkar ka rann mein nishan lut gaya
Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya
Karawan Lut Gaya, Karawan Lut Gaya
Aaj tak Sadr* kahtin ha in yeh aandhiyan
Ek Musafir tahe aasmaan lut gaya
Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya
Karawan Lut Gaya, Karawan Lut Gaya
One comment(s) on “Ek Gareeb ul Watan ka makaan lut gaya”
Shukriya