Dunya May AhlayBait Ka Chercha Karay Ge Hum
Ashqon se unki yaad ko taaza karen ge hum
Ya Hussain, Ya Maula
Ho apni zindigi gham e Sarwar ke waaste
Iske siwa na loi tammana karenge hum
Ashqon se unki yaad ko taaza karen ge hum
Ya Hussain, Ya Maula
Bole Hussain jisko na duniya bhula sakey
Duniya mein yaadgaar who sajda karenge Hum
Ashqon se unki yaad ko taaza karen ge hum
Ya Hussain, Ya Maula
Karb o Bala ki khaak mein hasti mila ke aah
Islam ke viqar ko oocha karen ge Hum
Ashqon se unki yaad ko taaza karen ge hum
Ya Hussain, Ya Maula
Saahil pe ashqiya se Abbas ne kaha
Jab chhayenge Furath par kabza karenge hum
Ashqon se unki yaad ko taaza karen ge hum
Ya Hussain, Ya Maula
Asghar chale jo ran ko to Bano ne di sada
Jhooley ko dekh dekh kar roya karenge Hum
Ashqon se unki yaad ko taaza karen ge hum
Ya Hussain, Ya Maula
Laashe Pidar se kah kar Sakeena lipat gaye
Seene par kiske raat pe sooya karenge hum
Ashqon se unki yaad ko taaza karen ge hum
Ya Hussain, Ya Maula
Mehshar,* na jisme gham ho Payambar ki aal ka
Us zindigi se le ke bhala kya karenge Hum