diya zahr ibne Ali un Naqi ko
janaab’e Imam e Hasan Askari ko
rakha qaid meiN Moatamid ne hameisha
na syyed pa aaya taras uss shaqi ko
darindoN ko jis ghar meiN paala gaya tha
bula kar wahaaN bheija Ibne Ali ko
namaaz aapne uss jagah jab adaa ki
kiye sajde un mooziyoN ne wali ko
nikal aaey paRhkar namaaz aap lekin
na maana imam e Zaman muttaqi ko
rawayat meiN tahreer hai Moatamid ne
diya sharbat’e sAm waseeye Nabi ko
jise peete hi zahr phaila jasad mein
raha teen din karb Ibne Ali ko
thi woh maah’e suyyum ki taareekh hashtum
chupaaya tahey khaak haq ke wali ko
tha sAn do sau aur saath hijri woh aey Fikr*
diya sAb ne pursa Ali aur Nabi ko