Dhala jo dasht me suraj andheri raat aayi
Har eik samnth fizaoN mein teeragi chhayi
Jaale khayam haiN Zainab haiN aur tanhayi
Naa lashkare na sipahi na kasraato-nasir
Na Qasime na Ali Akbare na Abbase
Dhala jo dasht me suraj andheri raat aayi
Woh katlgaah ka manzar woh shab ka sannata
Nazar ke saamne Bhai ka bekafan laasha
Ali ki beti hain tanha hujum hai gum ka
Naa lashkare na sipahi na kasraato-nasir
Na Qasime na Ali Akbare na Abbase
Dhala jo dasht me suraj andheri raat aayi
Kadam-kadam pe musibat hai aur Zainab hai
Sitam hai aas hai hasrat hai aur Zainab hai
Aziyaato pe aziyaat hai aur Zainab (a.s) hai
Naa lashkare na sipahi na kasraato-nasir
Na Qasime na Ali Akbare na Abbase
Dhala jo dasht me suraj andheri raat aayi
Laaho se pyaso ke rangeen hai Karbala ki zameen
Luti Hussain ki sarkar alqama ke qareeb
Hai kaun jo dil e Zainab ko badh ke de taskeen
Naa lashkare na sipahi na kasraato-nasir
Na Qasime na Ali Akbare na Abbase
Dhala jo dasht me suraj andheri raat aayi
Gaale laga ke Sakeena ko aashq bhar ke kaha
Batao karti ho ab intezaar tum kiska
Hamara koi bhi Bibi ab aasra naa raha
Naa lashkare na sipahi na kasraato-nasir
Na Qasime na Ali Akbare na Abbase
Dhala jo dasht me suraj andheri raat aayi
Hata ke reth woh bacche zameen se chimte thay
Nami kaha thi kaleje julhas gaye unke
Uthaye jayen ge Zainab se kis tarah laashe
Naa lashkare na sipahi na kasraato-nasir
Na Qasime na Ali Akbare na Abbase
Dhala jo dasht me suraj andheri raat aayi
ZabaN pa meri Munawwar* hai zikre Karbobala
Gaame Hussain me dooba hua hai dil mera
Meri nigaah me maqtal ka hai woh sannata