Chheh maah ke Sipahi, Tujhpar fida zamana
Hai teri zindigi ka yeh muqtasar fasana
Phere zubaan labon par, Nawakh hua rawana
Haton pe Shah e Deen ke, tu ban gaya nishana
Chheh maah ke Sipahi, Tujhpar fida zamana
Hai teri zindigi ka yeh muqtasar fasana
Duniya ko zalzalon mein laaye tere ishare
Palta diye nazar se, darya ke toone dharey
Tera har eik zaban par, hai aaj tak fasana
Chheh maah ke Sipahi, Tujhpar fida zamana
Hai teri zindigi ka yeh muqtasar fasana
Be-teer be-kamaan ke, maqtal mein jaane wale
Rann mein bahadaron ke, sar ko jhukane wale
Tera nigah e haq mein, tha muntaqab gharana
Chheh maah ke Sipahi, Tujhpar fida zamana
Hai teri zindigi ka yeh muqtasar fasana
Andaaz tere pyare, Naazuk tere ishare
Maa baap ke sahare, Ai Hashmi sitare
Tere har eik ada mein, ismat ka tha khazana
Chheh maah ke Sipahi, Tujhpar fida zamana
Hai teri zindigi ka yeh muqtasar fasana
Tune bade badon ko, dars e wafa diya hai
Tareek e Karbala ko, Rangeen bana diya hai
Tune Basai turbat, Madar ne qaidkhana
Chheh maah ke Sipahi, Tujhpar fida zamana
Hai teri zindigi ka yeh muqtasar fasana
Lipta liya gale se, Sultan e Karbala ne
Zakhmi kiya tha do ko, ek teer e hurmala ne
Tera Gulu e nazuk, Shah e Huda ka shana
Chheh maah ke Sipahi, Tujhpar fida zamana
Hai teri zindigi ka yeh muqtasar fasana
Ai Sadr* dil samhale, kahti thi rann mein Madar
Main goad mein utha loon, tujhko lahed se kyon kar
Is kams-ini mein, tere tewar thay fathehana
Chheh maah ke Sipahi, Tujhpar fida zamana
Hai teri zindigi ka yeh muqtasar fasana