chale hain jaanibe masjid ALI har eik roata hai
gareibaan’e sahar bhi mominoN ab chaak hota hai
sitaara subho ka hai cheieRta dil ke phapholon ko
hAr ek jhoNka naseem’e saRd ka nashtar chubhoata hai
imame awwaliN ki aakhri shabb hai ibaadat ki
charaaghey zindagi kuch deir meiN khaamosh hota hai
lipatTi haiN idhar murghabiyaaN qadmoN se hazrat ke
udhar hAr halqaey zanjeer’e dArr meiN shoar hota hai
bata aey masjid’e Koofa, tahey mehraab pichl’e se
chupaaey teigh’e sAm aalood yeh kaun aaj soata hai
Ali Ibne Abi Taalib ka gham wo gham hai aalam meiN
ke jo sunta hai woh ro ro ke apni jaan khoata hai
shab’e basto yakum Ramzaan sUnn chaalis hijri se
falak bhi roaz pardey meiN shafaq ke khoon rota hai
bula lo jald aaqa FIKR* ko bhi apney rauzey par
ke ab zikr’e Najaf se wo bahot beitaab hota hai