Chalay maqtal yeh kahte sahe wala ai Ali Akbar – Aai Ali Akbar

Noha

Chalay maqtal yeh kahte sahe wala ai Ali Akbar
Tumhare baad hai andheer duniya ai Ali Akbar

Shabi-e-Mustafa ho tum na jaao ru-ba-ru inkey
Na samjho in yazeedo ko ab apna ai Ali Akbar
Chalay maqtal yeh kahte sahe wala ai Ali Akbar

Mai bhooda baap hoon kis dil se keh doon jaao marne ko
Palat kar dekhna mud-mud kar accha, ai Ali Akbar
Chalay maqtal yeh kahte sahe wala ai Ali Akbar

Batao kis jagha khayee hai barchee, kuch pata de do
Ke dikhlaye nahi deta hai rasta ai Ali Akbar
Chalay maqtal yeh kahte sahe wala ai Ali Akbar

Kaha Laila ne ghar ana, sitamgar aa gaye ghar mein
Bachha lo aa ke maa-bahenon ka parda ai Ali Akbar
Chalay maqtal yeh kahte sahe wala ai Ali Akbar

Kaleje se laga kar mayyat-e-Akbar ko maa boli
Khafa is palne-wali se ho kya ai Ali Akbar
Chalay maqtal yeh kahte sahe wala ai Ali Akbar

Mere bacche ko yun dhoola bana kar kaun laya hai
Keh kah kar ho gaye sakte me Laila ai Ali Akbar

Yeh hasrat thi dulhan ek chand si maa bihya kar lati
Tadap kar rah gaye dil ki tammana ai Ali Akbar
Chalay maqtal yeh kahte sahe wala ai Ali Akbar

Mujhe le lenay aaye aur na apni khariat bheji
Yeh likhti hai tumhe is khat me Sughra ai Ali Akbar

Sakeena laash par rukhsaar rakh kar bain karti thi
Chalo jaldi se is nagri se bhaiiya ai Ali Akbar

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *