Bunyad e lailaaha wujood e azan Hussain

Noha

Bunyad e lailaaha wujood e azan Hussain
khad khamat is salaat ke roohe rawan Hussain

Mere Rasool e Paak hai Quran ki tarha
Sher e Khuda ki zaat hai juz daan ki tarha
Aur Sayyeda hai suraye Rehman ki tarha
Sulh e Hassan hai amn ke maidan ki tarha
Poore kalame paak ke hai darmiyan Hussain
Bunyad e lailaaha wujood e azan Hussain

Maula Ali jahan bhi hai haq saath saath hai
Quran ki bandishon may waraq saath saath hai
Aur aasman pe jaise chapak saath saath hai
Kalma hai aur deen ka sabakh saath saath hai
Islam jis jagah hai samajhlo wahan Hussain
Bunyad e lailaaha wujood e azan Hussain

Badnaam o be-nishan lashkar yazeed ka
Dozakh ki aag bangayi bistar yazeed ka
Ruswayi bangayi hai muqaddar yazeed ka
Koi mahal hai ghar na koi dar yazeed ka
Jannat se bhar gaya tera aasta Hussain
Bunyad e lailaaha wujood e azan Hussain

Mushkil ke waqt aata hai Khyber Shikan ka naam
Baraat hai mere qalb ki Shahe Zaman ka naam
Jaise azan may Akbare Gulpayrahan ka naam
Mehshar* ke dil pe naqsh hai yun Panjetan ka naam
Yeh dil bana hua hai tera gulsitan Hussain
Bunyad e lailaaha wujood e azan Hussain

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *