BoliN Zainab ke lo khabar Bhaiyya
Chut ke aayeN hun qaid se Bhaiyya
BoliN Zainab ke lo khabar Bhaiyya
Is qadar taziyane khaye hain
Ab bhi majrooh hai kamar Bhaiyya
Aap ke baad dushmane iimaaN
Le gaye mujhko nange sar Bhaiyyaa
Qaid mai din ki dhoop raa t ki oos
Maine khai hai saal bhar Bhaiyya
Bhooke pyase pade rahe pehroN
Koi leta na tha khabar Bhaiyya
Bhai Abbas ko bula dijiye
So rahe hain wo nehar pa Bhaiyya
Humko bithla ke nange naaqoN par
Saath mere chalen ge ghar Bhaiyya
Mera Akbar kaha hai mai wari
Roungi usko umr bhar Bhaiyya
Meri atthara saal ki mehnat
Le gai mout loot kar Bhaiyya
Kya kahungi mai apni Amma se
Jab ke jaoungi qabr pr Bhaiyya
Ja ke Nana se kya kahungi batao
Lut gaya Karbala mai ghar Bhaiyya
Mar gai qaid mai sakeena bhi
Apki paarae jigar Bhaiyya
Jab main aaye thi ghar bhara tha mera
Ab chali sabko chhod kar Bhaiyya
Chut ke aai hun qaid se Bhaiyya
Boli Zainab ke lo khabar Bhaiyya